Ladies Relation With Colors
Roz marra istemal ki ashia aur malbusaat waghira ki kharidari kartey hue rang aapki khususi tawajeh hasil karne mein kamiyab hojatein hain.Yeh sub rang Kisi Na Kisi wajeh se aapko pasand hotey hain lekin in Rangoon ki asli wajah aapki apni shaksiyat hai aap khud kaisi hain, aur kya sunchti hain, fitri taur per aapki khamiya aur khubiyan appke pasanddida Rangoon se zahir hoti hain. Maslan gulabi rang pasand karne wali khawateen ki shaksiyat mein jazbatiyat aur paise se mohabbat dono sifahat shamil hongi. Istarha surq rang pasand karne wali khawateen hukumrani pasand karti hain, yeh hal dosrey Rang pasand karni wali khawateen ka bhi hai. is liye pasandida Rangoon se appi shaksi sifat ka jaiza lijiye.
Siya Rang (Black Color):
Behad shandar rang hai jin khawateen ko siya rang pasand ata hai wo bunyadi khaishat se kafi had tak durrahti hai aur wo shubazi pasand nahi karti. Black color pasand karniwali khawateen ki pass zahniyat ka khazana hota hai jise wo chupakar rakhti hai. Siya ek trismati rang hai yeh pehne wale per munasib hai ke wo usey kaise istemal karti hai.
Neela rang (Sky Color):
Nila khubsurat rang hai aur isse pasand karne wali khawateen mein insaniat, mohabbat, rahmdili,
sharafat kut kut kar bhari hoti hai. iske alawa eisi khawateen itehad pasand bhi hoti hai. Nila rang pasand karni wali khawateen hamesha aapni marzi manwati hai. is ke alawa aapne mafadat ke osul ke liye jodtode karna inki fitrat hoti hai. nila rang mohabbat, khushi aur wafadari ki alamat hai. nila rang muntaqib karne wali khawateen aapne taqat ke silseley mein bahut puqta hoti hai dosti sunch samaj kar karti hai, is ke alawa inme sabar ka mada bhi bahut hota hai.
Surq Rang (Red Color):
Is rang ko pasand karne wali shakhsiyat ek mana andazi ki maalik hoti hai, khaiyshat ka lamutnahi silsila hota hai. jo inki shaksiyat per havi nazar ata hai, zindagi ke tamaam rang aur khushioon se yeh luftke lamhat churane ka hunar janti hai, logoon ke barey mein aksar jalandazi khayam karleneki bad aapni ghalti ka bhi ehsaas hota hai. zindagi ke roshan pehlo ko dekhna pasand karti hai, aur eksaniyat inhe bilkul pasand nahi hoti.
Naranji Rang (Orange Color):
Is rang ko pasand karne ka matlab yeh hai k aap pur tesh zindagi basar karne ki khaish mand hai ayse khawateen par is samaj main badh chad kar hisa lete hai jesh main in ka nam aur shurath hu sake, aam tur par in ki aache shurath hute hai, aapni Milan sari k bas logo mein pasand bhi ki jati hai, naranji rang pasand karne wale khawateen bada chadakar hissa liya karti hai. kabhi kabar chidchida pan muzahira bhi karti hain, likin bahaisiyat e mujmue khole dil o dimag ki maalik hoti hai, naranji rang khush o khurram rahne ki alamat hai, aur Is rang ko pasand karne wali khawateen zahni bhi hoti hai.
Gulabi Rang (Pink Color ):
Is rang ko pasand karne wali khawateen ja o numaesh ko pasand karti hai, aur aisi khawateen aksar adam tahafuz ki kaifiyat me mubtala rahti hain, muhabbat karna inka ahmtarin maqsad hota hai, aur inki kushish yeh hoti hai ke jawabi taurper log bhi inse mohabbar karein.
Peala Rang (Yellow Color):
Zard rang pasand karne wali khawateen ala khayalat ki maalik hoti hai, aisi khawateen business ke shube me bharpur kamiyabi hasil karsakti hai, kyun ki narmi aur sakti bawaqt inki shaksiyat ka hissa hoti hai, aur yeh sulji hui tabiyat ki maalik hoti hai, unchey khayalat rakhne ke bawajud kabhi kabar inse ghalti bhi hojati hai. Besabri aur ziddi pan inki shaksiyat ke kamzor pahlo hotein hai.
Sabz hara (Greem Color):
Tawazon aur tawazao ka khubsurat mail in khawateen ki shaksiyat me waze taur per nazar ata hai. Aise khawateen umeed ka daman kabhi haat se nahi chodti. Saat saat yeh saaf go aur khule zahin ki maalik hoti hai. Aur dil ki baat ziyadader tak chupa kar nahi rakhsakti bazahir yeh khawateen social life guzar rahi hoti hain. Lekin inhe pursukun zindagi se mohabbat hoti hai. Sabz rang pasand karni wali khawateen sabar o shaker khisam ki hoti hain. Tahzib aur akhlaq in ka “qabil tarif o sif” hota hai. Baz o qat sabz rang sard mehri ki alamat bhi banjata hai.
Neela Rang ( Dark Blue):
Is rang me paye jane wali sanjidgi aur husn hi iski khubi hai, jo khawateen yeh rang pasand karti hai to is ka waze matlab hai ke inki shaksiyat khasi dabang hogi. Shaan o shaokat aur hukumrani ka ussul ya to inki khaish hoti hai ya phir inhe waqehi hukumrani ka mauqa nasib hota hai, infaradiyat aur bardabari inki pahchan hoti hai. Haziri jawab sanjidgi aur hasasiyat inki numaya sifat hoti hai.
Colors and relation, Rang aur khawateen, Beauty Tips, Women Beauty Tips, Red Color, Blue Color, Black Color, Greem Color, Yellow Color, Sky Color.
0 comments:
Post a Comment